Google Search

Friday 23 November 2012

Esharon say koi

Bulata hay peyhum esharon say koi,
Sada de raha hay kinaron say koi,
Magar keya karain itni fursat kahan hay,
Safena rawan hay safena rawan hay,

Safena Rawan hay

Kisi 1 manzil pe rukna geran hay,
Na lutf-e-baharan na khowf-e-khazan hay,
Ye keya be-kali apne dil main nehaan hay,
            Safena                      rawan hay,

Jab Tere Shahir Say Guzarta Hon

Kis tarha rokta hon ashq apne,
Kis qadar dil pe jabar karta hon,

Aaj bhi kaar'zar-e-hasti main,
Jab tere shahir say guzarta hon,

Sona Sona K Roey

Meri dastan-e-Hsrat wo sona sona k roey,
Mere aazmane wale mujhe aazma k roey,

Koi aysa ahl-e-dil ho kh fasan-e- muhabat,
Main usay sona k rown wo mujhe sona k roey,

Meri aarzo ki dunya dil-e-na'tawan ki hasrat,
Jesay kho k shad'ma thay usay aaj pa k roey,

Teri be'wafaiyon par teri kaj adaiyon par,
kabhi sar jhoka k roey kabhi mun chopa k roey,

Jo sonai anjuman main shab-e-gham ki aap'beti,
kai ro k mus'kuraey kai mus'kura k roye,



Rah Asaan Ho Gai Hogi

Rah asaan ho gai hogi,
Jan peh'chaan ho gai hogi,

Mout say tere dard'mandon ki,
Mushkil asaan ho gai hogi,

Phir palat kar negah nahin ai,
Tujh pe qurbaan ho gai hogi,

Teri zulfon ko cher'ti thi saba,
Khud pare'shan ho gai hogi,

Unsay bhi cheen lo gay yaad apni,
Jin ka Eemaan ho gai hogi,

Marne walon pe Saif hayrat kun,
Mout aasaan ho gai hogi,

Shaam Dhalti Ja Rahi Hay

Hoslay mat aazmao shaam dhalti ja rahi hay,
Tum kahin say lowt aow shaam dhalti ja rahi hay,

Ye udasi ka sama to jaan le lega ga hamari,
Koi naghma gun'gunao shaam dhalti ja rahi hay,

Meri soni soni ankhain  mud'daton say thin peyasin,
Tashnagi inki bujhao shaam dhalti ja rahi hay,

Phir kisis ki yaad k anay ka mosam a gaya hay,
Phir harem-e-Dil sajao shaam dhalti ja rahi hay,

Aane walay mousmon ka keya bharosa Jan-e-Shahid,
Tum charagha-e-Shab jalao sham dhalti ja rahi hay,

Tujhe Khabar Hi Kahan Hay....

Tujhe khabar hi kahan hay jana,!
Jo teri chahat main mar meta hay,
Wo kis azeyat main ji raha hay,
Jesay muhabat ki arzo thi,
Wo kesay nafrat ko pi raha hay,

Tujhe khabar hi kahan hay jana!
Ye raat rehti hay q fasurdah,
Ye chand jalta hay rat bhar kun,
Jo din betata he muskura'kar,
Wo khoon ugalta hay rat bhar kun,

Tujhe khabar hi kahan hay jana!
Tujhe to rasmay wafa ki zid hay,
Muhabaton say bala ki zid hay,
Tujhe khabar bhi jo ho to kasy,
Tujhe to apni ana ki zid hay,