Google Search

Thursday 22 November 2012

Tera Apna Tareqa Tha Mera Apna Tareqa Tha


Tera apna tareqa tha mera apna tareqa tha,
Muhabat hi hamari zaat ka pehla hawala tha,

Tumhare roop ka jado jesay tasweer karta he,
Hamari aankh main thehra howa hayrat ka lamha tha,

Jo khushbo k safar main sath le k mujh ko nikli thi,
Wo larki 1 titli thi main 1 chota sa bacha tha,

Sona he us haweli main baray aa'sayb rehtay hain,
Jahan chat hay wahan pehle kisi Mandar ka ghanta tha,

No comments:

Post a Comment