Google Search

Thursday 22 November 2012

Inkar Hamara He Na Inkar Hamara

Inkar hamara he na inkar hamara,
Hona hi yahan ab to be'kaar hamara,

Zakhmon se guzarte howe jhonkay sehr-o-sham,
Rakhte hain ye ghar khoob hawa'daar hamara,

Leta he koi cheez na deta he koi daam,
Thanda he lagaya howa bazaar hamara,

Hum dosron k kaam bhala ain'gay q kar,
Khud se hi nahin koi saro kaar hamara,

La'chaar se bethay hain is umeed pe kab say,
Ho jae koi aa k madad'gaar hamara,

Ab pochne ki koi zarorat nahin baki,
Ahwaal hay aysa hi laga'taar hamara,

Dushman k Zafar dost hain or dost k dushman,
Ab aan k pukhta howa kirdaar hamara,

No comments:

Post a Comment