Google Search

Friday 23 November 2012

Esharon say koi

Bulata hay peyhum esharon say koi,
Sada de raha hay kinaron say koi,
Magar keya karain itni fursat kahan hay,
Safena rawan hay safena rawan hay,

Safena Rawan hay

Kisi 1 manzil pe rukna geran hay,
Na lutf-e-baharan na khowf-e-khazan hay,
Ye keya be-kali apne dil main nehaan hay,
            Safena                      rawan hay,

Jab Tere Shahir Say Guzarta Hon

Kis tarha rokta hon ashq apne,
Kis qadar dil pe jabar karta hon,

Aaj bhi kaar'zar-e-hasti main,
Jab tere shahir say guzarta hon,

Sona Sona K Roey

Meri dastan-e-Hsrat wo sona sona k roey,
Mere aazmane wale mujhe aazma k roey,

Koi aysa ahl-e-dil ho kh fasan-e- muhabat,
Main usay sona k rown wo mujhe sona k roey,

Meri aarzo ki dunya dil-e-na'tawan ki hasrat,
Jesay kho k shad'ma thay usay aaj pa k roey,

Teri be'wafaiyon par teri kaj adaiyon par,
kabhi sar jhoka k roey kabhi mun chopa k roey,

Jo sonai anjuman main shab-e-gham ki aap'beti,
kai ro k mus'kuraey kai mus'kura k roye,



Rah Asaan Ho Gai Hogi

Rah asaan ho gai hogi,
Jan peh'chaan ho gai hogi,

Mout say tere dard'mandon ki,
Mushkil asaan ho gai hogi,

Phir palat kar negah nahin ai,
Tujh pe qurbaan ho gai hogi,

Teri zulfon ko cher'ti thi saba,
Khud pare'shan ho gai hogi,

Unsay bhi cheen lo gay yaad apni,
Jin ka Eemaan ho gai hogi,

Marne walon pe Saif hayrat kun,
Mout aasaan ho gai hogi,

Shaam Dhalti Ja Rahi Hay

Hoslay mat aazmao shaam dhalti ja rahi hay,
Tum kahin say lowt aow shaam dhalti ja rahi hay,

Ye udasi ka sama to jaan le lega ga hamari,
Koi naghma gun'gunao shaam dhalti ja rahi hay,

Meri soni soni ankhain  mud'daton say thin peyasin,
Tashnagi inki bujhao shaam dhalti ja rahi hay,

Phir kisis ki yaad k anay ka mosam a gaya hay,
Phir harem-e-Dil sajao shaam dhalti ja rahi hay,

Aane walay mousmon ka keya bharosa Jan-e-Shahid,
Tum charagha-e-Shab jalao sham dhalti ja rahi hay,

Tujhe Khabar Hi Kahan Hay....

Tujhe khabar hi kahan hay jana,!
Jo teri chahat main mar meta hay,
Wo kis azeyat main ji raha hay,
Jesay muhabat ki arzo thi,
Wo kesay nafrat ko pi raha hay,

Tujhe khabar hi kahan hay jana!
Ye raat rehti hay q fasurdah,
Ye chand jalta hay rat bhar kun,
Jo din betata he muskura'kar,
Wo khoon ugalta hay rat bhar kun,

Tujhe khabar hi kahan hay jana!
Tujhe to rasmay wafa ki zid hay,
Muhabaton say bala ki zid hay,
Tujhe khabar bhi jo ho to kasy,
Tujhe to apni ana ki zid hay,




Thursday 22 November 2012

Teri Umeed Tera Intizaar

Teri umeed tera intizaar jab say hay,
Na shub ko din say shikayat na din ko shub say hay,

Kahan gaye shab-e-Fulkat main jagne walay,
Sitara-e-Sahir hum'qalaam kab say hay,

Kabhi Faka Kabhi Luqma Mela Hay

Kabhi faka kabhi lukma mela hay,
Mujhe ye baap say warsa mela hay,

Tumharay shahir main rehne ki khatir,
Bari mushkil say 1 kamra mela hay,

Tumhara hum'safar jab say howa hon,
Mujhe har raah main khatra mela hay,

Tera Apna Tareqa Tha Mera Apna Tareqa Tha


Tera apna tareqa tha mera apna tareqa tha,
Muhabat hi hamari zaat ka pehla hawala tha,

Tumhare roop ka jado jesay tasweer karta he,
Hamari aankh main thehra howa hayrat ka lamha tha,

Jo khushbo k safar main sath le k mujh ko nikli thi,
Wo larki 1 titli thi main 1 chota sa bacha tha,

Sona he us haweli main baray aa'sayb rehtay hain,
Jahan chat hay wahan pehle kisi Mandar ka ghanta tha,

Rownak-e-Manzar

Wohi to rownak-e-Manzar  barhane wala tha,
Main darmiyan say jo parda hatane wala tha,

Mujhe nekalne aye thay shahir say us waqt,
K jab jahan say main az khud hi jane wala tha,

Usi nay maar deya la k mujh ko sahil par,
Bhanwar k mun say jo mujh ko bachane wala tha,

1 aane walay zamane ka taju'maan tha Zafar,
Agar chh khud kisi pechle zamane wala tha,

Gum Hote gaye

Gum hote gay khud hi imkaan hamaray,
Mushkil howe jo kaam thay aasaan hamaray,

Bahar se hi mazboot nazar atay hain lekin,
Andar say yehi jisam hain be'jaan hamaray,

Masoom hain or ye bhi samajhte hain k ab'tak,
Dushman hain un ahwaal say anjaam hamaray,

Choron ki Zafar koi zarorat nahin baki,
Ma'moor hain ab khud hi negh-e-baan hamaray,

Inkar Hamara He Na Inkar Hamara

Inkar hamara he na inkar hamara,
Hona hi yahan ab to be'kaar hamara,

Zakhmon se guzarte howe jhonkay sehr-o-sham,
Rakhte hain ye ghar khoob hawa'daar hamara,

Leta he koi cheez na deta he koi daam,
Thanda he lagaya howa bazaar hamara,

Hum dosron k kaam bhala ain'gay q kar,
Khud se hi nahin koi saro kaar hamara,

La'chaar se bethay hain is umeed pe kab say,
Ho jae koi aa k madad'gaar hamara,

Ab pochne ki koi zarorat nahin baki,
Ahwaal hay aysa hi laga'taar hamara,

Dushman k Zafar dost hain or dost k dushman,
Ab aan k pukhta howa kirdaar hamara,

Wednesday 21 November 2012

Ankhon main setare le kar

Wo jo ate thay ankon mian setare le kar,
jane kis dais gaye  khawab hamare le kar,

Chaon main bethne wale hi to sub se pehle,
Perh girta he to aa jate hain aaray le kar,

Wo jo aasoda-e-Sahil mahin unhain keya maloom,
Ab k mowj ai to palte gi kinare le kar,

Aysa lagta he k mousm-e-Hijran main bahaar,
Honth rakh deti hay ahakhon pe  tumhare le kar,

Shahir walon ko kahan yaad he wo khwab farosh,
Phirta rehta tha jo galyon main ghubare le kar,

Dil k Zakhamon ko Chopana...

Ab dil k zakhmon ko chupana nahin mum'kin,
Chot kha k phir say muskurana nahin mum'kin,

Khud pe mous'me hijar orhay howe logon ka,
Ab jash'ne shabe wesaal mana'na nahin mumkin

Sar-e-Maqtal abhi tak meri sadain gong'ti hain,
Sehn-e-Maqtal se mera neshan metana nahin mum'kin,

Ab k sochon main wo talatam utra he kh,
Teri yaad ko 1 pal ka leye bholana nahin mum'kin,

Khusbo-e-Shahir day daygi uska pata Rashid,
Ab us shaks ko mujh se chopana nahin mum'kin,

Chalo Muhabat Kar Hi Lete Hain

Chalo Muhabat kar hi lete hain,
Mahikti chandni ki chamak ko...
Apni ankhon main bhar hi lete hain,

Jalte bujhte howe jugnowon ki damak ko,
Apni muthiyon main jakar hi lete hain,

Feraaq raat k azaab lamhon ko bhol kar,
Wasaal raat k gulaab rangon main,
Sanwar hi lete hain,

Wafa ki umeed leye hum tum 1 dosre say,
Chalo muhabat kar hi lete hain,

Ye haal ho gaya

Hijar main ab k ye haal ho gaya,
Barish-e-Ashq roqna muhaal ho gaya,

Zindgi ne or kuch karne nahin deya,
1 eshiq hi jan ka wabaal ho gaya,

Chalo k jashn-e-tarb manain yaaro,
Khatam judaiyon ka ye saal ho gaya,

Eshiq main hum koi sani nahin rakhte,
Husan apka be'mesaal ho gaya,

Kuch to zamane se haar gaye Rashid,
Kuch doriyon se dil nadhaal ho gaya,

Ghayrat ka sama or Sabar ka imtihan

Ghayrat ka sama bhi he or sabark a imtihaan bhi he,
Lekin ana ki jang main shikast ka guman bhi he,

Mere har fesle se ikhtilaaf bhi he usay,
Mere sare asoolon ka magar tar'jumaan bhi he,

1 taraf showke safar dil se nahin jata,
1 taraf paon main aablon ka gulistaan bhi he,

Apni hasti main wo shaks faqeron se kam nahin lekin,
Dil ki ujri hoi basti ka sultan bhi he,

Tanha hota to shayad badal hi leta magar Rashid,
Fesla arzoe yaar main shamil dil-e- mehirban bhi he,

Faqeer how karte hain

Dar haqekat wo loog faqeer howa karte hain,
Jo dowlat-o-zar k aseer howa karte hain,

Tere rukh pe saji reshmi zulfon ki qasam,
Husno Eshiq to bahami zanjeer howa karte hain,

Meri khush nasebi k tujhe pa leya mane,
Warna khwab kab tabeer howa karte hain,

Jin k paas hon zakhair wafaon k,
Wo tahi dast bahot ameer howa karte hian,

Jo bhari mehfil main ruswa keye jain,
Wo log to sahibe toqeer howa karte hain,

Feraaq ki sakhtiyan bhala kese bhol jaon Rashid,
Dil k zakham bhi to teer howa karte hain,

Tanhaiyon ka safar

Safar tanhaiyon ka dushwar bahot tha,
Kat aye hain k intizaar bahot tha,

Aai na raas mujhe khalaon ki tang dunya,
Zameen ki was'atoon pe aytbar bahot kam tha,

Ye jo lazate sawaab se he mala maal koi,
1 dowr guzra k gunah'gar bahot tha,

Na thi zarorat mujh ko kabhi bhi kisi ki,
Tera aasra ay Parwardi'gar bahot tha,

Gaye dinon main jan leta tha sub haqiqatain,
Kisi k dil pe rashid mujhe ikhtiyar bahot tha,

Tere Naam

Chahat k us jazbe ko salaam karte hain,
Aaj hum apna naam tere naam karte hain,

Chahaton main koi gila nahin shikwa nahin hota,
Karte hain jo ye kaam wo zindgi apni tamam karte hain,

Ye dil, ye pal, ye ahsaas tere naam kar deye hain,
Chal aaj ye zist bhi tere naam karte hain,

Muhabat to 1 hoti he bari enaayat Khuda ki,
Jane q log is jazbe ko pamaal karte hain,


Masoom chehra

Masoom chehra Negahain farebi,
Labon pe hansi Or dil main dagha he,

Mele dost jis ko yahan tere jesa,
Usay dushmanon ki zarorat hi keya he,

Dil tor deya q itna bata day,
Phir bad main be'waf,
Jo chahe mujh ko saza day,

Teri be'rukhi se pareshan hon main,
Na aye samajh main ye keya majra he,


Masoom chehra Negahain farebi,
Labon pe hansi Or dil main dagha he

Jo bharta nahin wo zakham deya he,
Mujh ko nahin peyaar ko badnam tone keya he,

Jesay mane poja maseha bana k,
Na tha ye pata patharon ka bana he,


Masoom chehra Negahain farebi,
Labon pe hansi Or dil main dagha he,

Mele dost jis ko yahan tere jesa,
Usay dushmanon ki zarorat hi keya he

Tuesday 20 November 2012

Zamana Ho Gaya He

Tumhain soche zamana ho gaya he,
Meri muthi se lamha gir chuka he,

Hamara gham se rishta musta'qkil he,
Hamare hath main rona likha he,

Chalo is bar hum hi haar jain,
Hamain wo jeetne aaya howa he,

Wo jis say mane pehla dukh kaha tha,
Ab uska gham bhi mujh par aa para he,

Chalo jaldi se wapas shahir apne,
Hamain wo yaad kar k ro raha he,

Monday 19 November 2012

Tamana Uljhi Rehti Hay

Muhabat roth jaey to,
Tmana uljhi rehti he,

Khawahish dabane ko,
Hasratain metane ko,
Khud ko aazmane ko,
Dil nahin chahta aksar,
Zindgi batane ko,

Muhabat roth jaey to,
Mushkil aan parti he,

Muhabat Roth Jaye To

Muhabat roth jaey to,
Mushkil aan parti he,

Bahot be'chain se jazbe,
Ashq ban k behte hain,

Akelay chat k neche hum,
Akelay dard sehte hain,

Kisi say kuch na kehte hian,
Bas apne ap main rehte hain,

Muhabat roth jaey to,
Mushkil aan parti he,


Marne ka faida

1 khatoon ne dosri khatoon se pocha....

"Janat main mardon ko to horain melain gi magar aorton ko keya mele ga"?

Yahi apne apne khawind.

Dosri aorat ne apne jawab main bataya.

Pehli Aowrat ne ye sona to talkhi se boli...dafa karo phir marne ka keya faida..:) :)

Sunday 18 November 2012

Mera hona na hona barabar ho gaya

Jab mera hona na hona ak barabar ho gaya,
Dil mera mere leye bhi sitam'gar ho gaya,

Apne dil ko rafta rafta mane bhi samjha leya,
Hote hote tera dil bhi jasy pathar ho gaya,

Dushmani ka lutf aye ga magar Kashif kamaal,
Jab mera dushman mere qad k barabar ho gaya,



Gum hone lage hain

Kahani k sub kirdar gum hone lage hain,
Mere mit'te howe aasaar gum hone lage hian,

Sono ay dushmano mat dushmani se baz ana,
Mere dam tot'te afkar gum hone lage hain,

Ajab nafrat bhar mahowl he Kashif behr soo,
Zamane se muhabat peyar gum hone lage hain,

Zindgi ka hasool hojata

Zindgi ka hasool ho jata,
Wo jo ghoncha tha phool ho jata,

Hath rakhta wo mere mathe par,
Keyfiyat ka nazool ho jata,

Sapne dekha raha hon

Khud ko sapne dekha raha hon main,
Aman k geet ga raha hon main,

Mera dawa he zindgi ka farogh,
Or aytam bana raha hon main,

Zehni halat mula'hiza ho meri,
Be sabab muskura raha hon main,

Ay mera hath chorne wale,
Teri dunya se ja raha hon main,

Yaad kashif unhain delana he,
Han kabhi apka raha hon main,

Pagal kar deti hain

Sochain pagal kar deti hain,
Ankh main jal thal kar deti hain,

Yadon ko awaaz na dena,
Jena mushkil kar deti hain,

Aysi bhi 2 ankhain hain jo,
Zaat mukamal kar deti hain,

Eshiq muhabat peyar ki batain,
Sansain bojhal kar deti hain,

Aaj bhi uski ankhain Kashif,
Khoon mian hal'chal kar deti hain,

Zakham pe zakham

Zakham pe zakham khaye jate hain,
Or hum muskuray jate hain,

Bijliyon se kaho k dharti par,
Aashiyane banaye jate hain,

Dil ko samjha chuka hon main or wo,
Soye jazbe jagay jate hain,

Le k barood apne hathon main,
Aman k geet gaye jate hain,

Saturday 17 November 2012

Dunya nai nai he

Dunya nai nai he zamane nay nay,
Unwan nay nay hain fasane nay nay,

Dunya main zinda rehne ka dhang a gaya mujhe,
Jab se paray hain sadmain uthane nay nay,

Tum bhi to muskurao baharon k dais main,
Sunta hon a gaye hain dewane nay nay,



Maqsad

Sene main koi maqsad hasil nahin raha,
Dil he to dil main jazba kamil nahin raha,

Keya pochte ho Kosar  khasta jigar ka haal,
Ji to raha he magar jene k qabil nahin raha,

Rafta Rafta

Uthay gi jo uski nazar rafta rafta,
Namo'dar hogi sahir rafta rafta,

Teri yaad ka 1 awara panchi,
chala a raha he edhar rafta rafta,

Wo dekho k bade bahaar a rahi he,
Mahik jaye gi rah'guzar rafta rafta,

Dilon ka andhera k jata nahin he,
Kiran ban k dil'bar ubhar rafta rafta,

Yehi he tamana Tasawar ki lehro!
Shabe hijar jaey guzar rafta rafta,

Sama dekh lo chand k dobne ka,
Jameel apni chat se utar rafta rafta,

Log hamain dewana samjhe

log hamain dewana samjhe,
Apne bhi be'gana samjhe,

Dil k zakhmi panchi ko hum,
Teri nazar ka dewana samjhe,

Wo to hamara tota dil tha,
Log jesay parwana samjhe,

Jo pal guzre sath tumhare,
Unko 1 zamana samjhe,

Meri aahe sahir gahi ko,
Kuch be'dard tarana samjhe,

Koi he? jo dil'geron ka,
Dard bhar afsana samjhe,

Haye wo makhmoor negahain,
Jameel jesay mey'khana samjhe,

Thursday 15 November 2012

Tab Yaad Bahot Tum Aati Ho

Koi waqt k zalim lamhon main
Jab dil k dard jagata he
Jab andhi kali raton main
Koi saya milne ata he

Jab dewaron par sham dhale
Jab waqt na apne sath chale
Is dil ka angan sona ho
Or har 1 chat pe deep jale

Jab cheez koi na bhati ho
Tab yaad bahot tum ati ho
Tab yaad bahot tum ati ho

Wafaon k Badle



wafaon k badle wafa lejeye,
sawa'be Muhabat kama lejeye,

Udasi k dere agar dil pay hain,
Hamari ghazal gun'guna lejeye,

Talab ka hamari jo ahsaas he,
Kabhi hum'se nazrain mela lejeye,

Khuda ne jo tum ko ata kar deya,
Usay zindgani bana lejeye,

Bahot dhoke khaiye hain Kashif miyan,
Fare'be Muhabat bhi kha lejeye,