Google Search

Wednesday 21 November 2012

Ankhon main setare le kar

Wo jo ate thay ankon mian setare le kar,
jane kis dais gaye  khawab hamare le kar,

Chaon main bethne wale hi to sub se pehle,
Perh girta he to aa jate hain aaray le kar,

Wo jo aasoda-e-Sahil mahin unhain keya maloom,
Ab k mowj ai to palte gi kinare le kar,

Aysa lagta he k mousm-e-Hijran main bahaar,
Honth rakh deti hay ahakhon pe  tumhare le kar,

Shahir walon ko kahan yaad he wo khwab farosh,
Phirta rehta tha jo galyon main ghubare le kar,

No comments:

Post a Comment