Google Search

Wednesday 21 November 2012

Ghayrat ka sama or Sabar ka imtihan

Ghayrat ka sama bhi he or sabark a imtihaan bhi he,
Lekin ana ki jang main shikast ka guman bhi he,

Mere har fesle se ikhtilaaf bhi he usay,
Mere sare asoolon ka magar tar'jumaan bhi he,

1 taraf showke safar dil se nahin jata,
1 taraf paon main aablon ka gulistaan bhi he,

Apni hasti main wo shaks faqeron se kam nahin lekin,
Dil ki ujri hoi basti ka sultan bhi he,

Tanha hota to shayad badal hi leta magar Rashid,
Fesla arzoe yaar main shamil dil-e- mehirban bhi he,

No comments:

Post a Comment